yeh teri bhi aankhon ka qusur hai



yeh teri bhi aankhon ka qusur hai

Main tanha gunahgar to nahin

Kafas udas hai yaaro,subah se kuch to kaho

Kahiin to behr_e_khuda aaaj zikr_e_yaar chale

Tu is tarah se mere dil main shamil hai

Jahan bhi jaoon lagta hai teri mahfil hai

Zandagii ek phool hai aur mohabbat us ka shehed

Pyaar ek daiya hai, aur mehmoob uski sarhad

Teri aur meri nazar ka na kabhi bair ho

Lo raah main takra gaye,ALLAH khair ho

Dhoondhta phirta hoon main logon main shabahat uski

Ke woh khwabon main bhi lagti hai khyalon jaisi

Ek naam kya likha tera saahil ki rait par

Phir umar bhar hawa se meri dushmani rahi

Pyaar main jadoo bhi kya maza hai

Lagta ha ke ek khubsurat saza hai

Tu aatish_e_dozakh se darata hai jin hain

Woh aag ko pee jate hain paani kar ke

Tapish suraj ki hoti hai,jalna zameen ko parta hai

Qusur aankhon ko hota hai,tarapna dil ko parta hai

Mujh se mut pouch,mere dil ki kahani O hum_dum

Is main kuch parda-nashinon ke bhi naam aate hain

Mausam hai mausam,khushboo aapke zulfon ka naam

Mausam_e_gul hai,aapke baagh main aa jaane ka naam

Tasalli ho jayegi,zara itna to bata do

Tumhe bhi hitchkiyan aati hain jab hum yad karte hai

Zaruri to nahin, ke batayain labon se dastaan apni

Zabaan ek aur bhi hoti hai izhaar ki





--


"Fursat ke kuch lamhe nikal kar,

the kuch sapne sajaye maine,

Bedardo ki iss duniya se chun kar,

the kuch rishte apnaye maine,

Magar waqt ko raas na aayi wafa meri aur,

Ho gaye Paraye woh mujhse,

thhe kabhi jo apne banaye maine"



That's_Arv

નેહા પરીખ
नेहा परीख

__._,_.___
.

__,_._,___

No comments:

Groups.yahoo.com (Yahoo Groups) Shutting Down

...