Mein Jab Bhi Akeli Hoti Hoon Mein Jab Bhi Akeli Hoti Hoon, Tum Chupkey Se Aa Jatey Ho Or Jhaank Kay Meri Aankhon Mein Beetay Din Yaad Dilatey Ho Mastana Hawa Kay Jhonkon Se Har Baar Woh Pardey Ka Hilna Pardey Ko Pakarney Ki Dhunn Mein Do Ajnabi Haatoun Ka Milna Aankhon Mein Dhunwa Cha Jana Sasoun Mein Sitarey Se Khilna Rasty Mein Tumhara Mur Mur Kar Takna Wo Mujhe Jatey Jatey Aur Mera Thitak Kar Ruk Jaana, Chilman Kay Kareb Aatey Aatey Nazroun Ka Taras Kar Reh Jaana, Ek Aur Jhalak Paatey Paatey Baaloun Ko Sukhaney Ki Khatir, Kothey Pe Woh Mera Aa Jaana Aur Tum Ko Muqabil Patey Hi Kuch Sharmana, Kuch Bal Khaana Humsayon Kay Dar Se Katrana, Ghar Walon Kay Dar Se Ghabrana Ro Ro Kay Tumhein Khat Likhti Hoon, Aur Khud ParDh Kar Ro Lati Hoon Halaat Kay Taptey Toufaan Mein Jazbaat Ki Kashti Khayti Hoon Kaisey Ho, Kahaan Ho, Kuch Tou Kaho, Mein Tum Ko Sadayien Deyti Hoon Mein Jab Bhi Akeli Hoti Hoon, Tum Chupkey Se Aa Jatey Ho Aur Jhaank Kay Meri Aankhoun Mein Beetay Dinn Yaad Dilatey | |
--
Darde Sitam Sah Gaye,
Bejubaan Ki Tarah|
Aankh Bhar Aayee Meri,
Toofan Ki Tarah|
Dile Dard Hame Karne Laga,
Kuch Choor Is Kadar|
Arma Mere Bikhar Gaye,
Toote Makan Ki Tarah|
નેહા પરીખ
नेहा परीख
No comments:
Post a Comment